Sunday, 18 March 2018

HISTORY OF EID-E-NAVROZ

HISTORY OF EID-E-NAWROOZ


Navroz woh din hai ki jis rozAftaab (Sun) burj-e-hamal mein dakhil hota hai. Is din key bahut se fazael hain. 
FAZILAT-E-EID-E ­ -NAVROZ
Hazrat-e-Mualla ­ bin Khanees R.A. jo Hazrat IMAM JAFAR SADIQ A.S. key khaas sahabi they, woh kahtey hain main navroz key din Hazrat ki khidmat-e-aqdas ­ mein hazir hua.
1. Hazrat ney farmaya ki yeh woh dinhai key Khuda wandey Alam ney is roz bandon ki roohon se eqraar liya key usko wahdahu La shareek samjhey aur kisi ko uski ibadat mein
shareek karaar na dey.
2. Yeh pahla woh din hai jismein suraj ney apni pahli kiran (rays) zameen par dali.
3. Isi din Hazrat Nooh A.S. ki kashti ney toofan key baad Kohey Joodi par karrar pakda.


4. Isi roz khuda wandey alam ney un chand hazaar aadmiyon ko zinda farmaya jota'oon key khauf se bhaagey they aur khudaney un sab ko maut dey di, ek muddat key baad jab
unki haddiyan(bones) ­ rah gayein to ek Rasool S.A.W ka wahan se guzar hua, unhoney khuda wandey alam se sawaal kiya ki paalney waley mujhey dikha dey ki tu kis
tarah bosida haddiyon ko zinda kartahai, khuda ki taraf se wahee nazilhuee ki tum un haddiyon par pani chidko (shower) to unhoney unpar pani chidka toba qudrat-e-
khuda woh sab zinda ho gaye, isi wajeh se sunnat hai ki momeneen is roz ek doosrey par pani chidkein ya khud apney ooper pani daley aur ghusl karein. Jo logzinda huey woh 30,000 they aur wo Rasool Hazrat-e-Hizqee ­ l S.A.W they.
5. Isi roz Hazrat Ali A.S. ney doshey mubarak(shoulder) Rasool-e-Khuda S.A.W par chadh kar khan-e-qaba mein but shikani (statue destroyed) ki.
6. Navroz ka din hi Eid-e-Ghadeer ka din tha.
7. Navroz key hi din baad -e-qatley usman (lana tullah alaihey) Hazrat Ameerul Momeneen A.S. ko KHILAFAT-E-ZAHE ­ REE mili.
8.Isi roz Ameerul Momeneen A.S. ney khaarijyon ke khilaaf jung-e-naherwaa ­ n mein fatah hasil ki.
9. Inshallah isi roz Imam Mahdi A.S.(Imam-e-Zamana A.S.) ka zahoor hoga.
10. Isi roz baqi sarey IMAM A.S. duniya ki taraf ruj'at karengey.
11. Imam Sadiq A.S. farmatey hain ki Nazroz ka din hamara aur hamarey shiyon kahai.

AAMAL-E-NAVROZ
Imam Jafar Sadiq A.S. farmatey hain:-
1. Ghusl-e- navroz karo, pakeeza kapdey pahno, khushboo lagao, rozarakho. 
2. Namaz-e-Zohrain ­ aur nawafil se farigh hokar 4 rak'at 2-2 karkey is tarah padho ki 1st rak'at mein Sura-e-AL HAMD key baad 10 times SURA-E-INNA ANZALNA, 2nd rak'at mein Sura-e-AL HAMD key baad10 times SURA-E-QUL YA AIYOHAL KAFEROON, 3rd rak'at mein Sura-e-AL HAMD key baad10 times SURA-E-QUL HO WALLAH
and 4th rak'at mein Sura-e-AL HAMD key baad 10 times SURA-E-QUL AUZO BE RABBIL FALAQ & 10 times QUL AUZO BE RABBIN NAAS PADHO.
Phir namaz khatm karney keybaad SAJDA-E-SHUKR mein jakar yeh padho.....
ALLHUMMA SWALLEY ALAA MOHAMMADIWN WA AALEY MOHAMMADIN-IL-A ­ WSIYA-E-YIL MARZEE-EENAA WA JAMEEYE AMBEEYAEKA WA RUSOOLEKA BE AFZALE SALAWATEKA WA BARIK ALAYHIM BE AFZALE BARAKATEKA SWALLEY ALAA ARWAHEHIM WA
AJSAADEHIM ALLAHUMMA BARIKALAA MOHAMMADIWN WA AALEY MOHAMMADIWN WA BARIK LANA FEE
YAUMENA HAAZIL LAZEE FAZZALTAHU WA KARRAMTAHU WA SHARRAFTAHU WA AZZAMTAHU KHATARAHU ALLAHUMMA BARIK LEE FEEMA AN'AMTA BEHI ALAYYA HATTA LA ASHKORA AHAADAN GHAIRAKA
WA WASSE'Y ALAYYA FE RIZQIYA ZALJALALEY WAL EKRAAME ALLAHUMMA MA GHAABA ANNEE FALAA YAGHEEBANNA ANNEE AWNOKA WA HIFZOKA WAMA
FAQADTO MIN SHAYYIN FALA TUFQIDNI AWNAKA ALAYHEY HATTA LA ATA KALLAFAA MALA AHTAJO ELAHEY YA ZALJALEY WA EKRAAM.
Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S. farmatey hain ki jab tum yeh aamaal karogey to tumharey 50 years key gunaah bakhshdiye jayengey.
3. Imam farmatey hain ki YA ZALJALALEY WAL EKRAAM bahut kahtey raho .
4. Likha hai ki tahweel ke waqt yeh dua 366 times padho:-
YA MUQALLEBAL QULOOBEY WAL ABSAAREY YAA MUDABBERAL LAYLEY WAN-NAHAREY YAA MOHAW-WE-LAL HAWLEYWAL AHWAALEY HAWWIL HALANA ELAA AHSANIL HAAL.
5. Is dua ko pani par padhkarghar key charon koney (all four corners)mein chidkein aur piyein(drink). inshallah saal
bhar tamaam balaon se mahfooz raheygey...
ALLAHO RABBI RABBIYAL LAAHUL WAHEDUL QAHAARO RABBI YALLAAHO YOHEE WA YOMEETO HASBONALLAHO RABBI ALLAHUMMAH-FAZN ­ A MINAL QAHTEYWAT-TA-O'ONEY WA GHARQEY WAL HARQEYWAL MAUTEY WAS SOOO'IL QAZA'E WA SHAMA
TATIL A'ADAAYE WA SHARREY KITABIN SABAQA RABBANAK SHIF ANNAL AZAABAA.
then again read 7 times …..
INNA MOQENOONA BERAHMATEKA YA ARHAMAR RAHEMEEN WA MUZHERA LUTFEHI MOHAMMDIWN WA AALEHI AJ MAAEEN.
Pray for Peace, Love and Joy.Pray that these words be received into the hearts of every eye that sees it.
May Allah Bless you all and may He turn all your noble thoughts, feelings, wishes and desires into reality. May He also endow you with a very long, happy, healthy and a
fruitful life as He guides you on the path that He wishes us to travel upon .Ameen 
This is the time , if we ask for any wish , Hajat or Pray Inshallah Allah& His 14 Masomeen a.s accept our Prayers , Duas , So Starts pray 05 min's before this time and continuous to pray till you feel satisfaction 

No comments:

Post a Comment